kahin qabil-e-karam hai kahin paikar-e-sitam bhi
yahi zindagi jahannam yahi zindagi iram bhi
main wo harf-e-awwalin hun na miTa saka zamana
ki hazar mujh se uljhe ye jahan ke pech-o-KHam bhi
yahi farq to hai nadan tere gham mein mere gham mein
tujhe doston ka gham hai mujhe dushmanon ka gham bhi
na KHirad hi ham-safar hai na junun hi rahbar hai
ye maqam kaun sa hai yahan ruk gae qadam bhi
ye ajib mai-kada hai ki guman-e-mai-kada hai
yahan rind hosh mein hain yahan fikr-e-besh-o-kam bhi
meri zindagi mein aisi kai manzilen bhi aain
jahan kuchh na kaam aai teri pursish-e-karam bhi
na mili junun mein 'maikash' mujhe fursat-e-nazara
sar-e-rah yun to aae kai dair bhi haram bhi

Ghazal
Kahin qabil-e-karam hai kahin paikar-e-sitam bhi
Masood Maikash Muradabadi