اردو हिंदी
Kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin | Shaahi Shayari
kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin

Ghazal

Kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin

Aslam Azad

;

kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin
tere KHayal ki KHushbu bhi aas-pas nahin

hazar bar nigahon se chum kar dekha
labon pe us ke wo pahli si ab miThas nahin

saja ke botalen Table pe muntazir hon magar
qarib o dur nigahon ke wo gilas nahin

samundaron ka ye namkin pani kaise piyun
piyasa hun magar itni ziyaada pyas nahin

ye aur baat ki mujh se bichhaD ke KHush hai magar
wo kaise kah de ki main in dinon udas nahin

tumhaare kapDe kahin gard mein na aT jaen
ye KHushk patton ka bistar hai sabz ghas nahin

bujhi bujhi sahi ye dhup kam nahin 'aslam'
ab is ke baad kisi raushni ki aas nahin