اردو
Kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin | Shaahi Shayari
kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin

Ghazal

Kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin

Aslam Azad

;

kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin
tere KHayal ki KHushbu bhi aas-pas nahin

hazar bar nigahon se chum kar dekha
labon pe us ke wo pahli si ab miThas nahin

samundaron ka main namkin pani kaise piyun
piyasa hun magar itni ziyaada pyas nahin

saja ke botalen Table pe muntazir hun magar
qarib o dur nigahon ke wo glass nahin

tumhaare kapDe kahin gard mein na aT jaen
ye KHushk patton ka bistar hai narm ghas nahin

ye aur baat ki mujh se bichhaD ke KHush hai magar
wo kaise kah de ki main in dinon udas nahin

bujhi bujhi sahi ye dhup kam nahin 'aslam'
ab is ke baad kisi raushni ki aas nahin