kahin pe jism kahin par KHayal rahta hai
mohabbaton mein kahan e'tidal rahta hai
falak pe chand nikalta hai aur dariya mein
bala ka shor ghazab ka ubaal rahta hai
dayar-e-dil mein bhi aabaad hai koi sahra
yahan bhi wajd mein raqsan ghazal rahta hai
chhupa hai koi fusun-gar sarab aankhon mein
kahin bhi jao usi ka jamal rahta hai
tamam hota nahin ishq-e-na-tamam kabhi
koi bhi umr ho ye la-zawal rahta hai
visal-e-jism ki surat nikal to aati hai
dilon mein hijr ka mausam bahaal rahta hai
KHushi ke lakh wasael KHarid lo 'alam'
dil-e-shikasta magar pur-malal rahta hai
Ghazal
Kahin pe jism kahin par KHayal rahta hai
Alam Khursheed