اردو हिंदी
Kahin pe chiKH hogi aur kahin kilkariyan hongi | Shaahi Shayari
kahin pe chiKH hogi aur kahin kilkariyan hongi

Ghazal

Kahin pe chiKH hogi aur kahin kilkariyan hongi

Salim Raza Rewa

;

kahin pe chiKH hogi aur kahin kilkariyan hongi
agar hakim ke aage bhuk aur lachaariyan hongi

agar har dil mein chahat ho sharafat ho sadaqat ho
mohabbat ka chaman hoga KHushi ki kyariyan hongi

kisi ko shauq yun hota nahin ghurbat mein jine ka
yaqinan samne us ke baDi dushwariyan hongi

ye holi id kahti hai bhala kab apne hathon mein
wafa ka rang hoga pyar ki pichkariyan hongi

muqabil mein hai aaya ek jugnu aaj suraj ke
yaqinan pas us ke bhi baDi tayyariyan hongi

suKHnawar ka ye aangan hai 'raza' sheron ki KHushbu hai
ghazal aur git nazmon ki yahan phul-wariyan hongi