اردو हिंदी
Kahin par zulm ke shoale kahin par KHud-parasti hai | Shaahi Shayari
kahin par zulm ke shoale kahin par KHud-parasti hai

Ghazal

Kahin par zulm ke shoale kahin par KHud-parasti hai

Ali Khan Jauhar

;

kahin par zulm ke shoale kahin par KHud-parasti hai
chaman ki aabru KHatre mein hai ye baat sachchi hai

wo ghola zahr nafrat ka siyasat ne fazaon mein
gulon ki aankh se shabnam lahu ban kar Tapakti hai

baghawat par agar hum log utar aae to kya hoga
abhi to hum ne rassi sabr ki ye tham rakkhi hai

wahan insaf ki ummid le kar ja rahe ho tum
jahan qanun ne aankhon se paTTi bandh rakkhi hai

taDapta hun bichhaD kar aap se kuchh is tarah 'jauhar'
bina pani ke jaise ret pe machhli taDapti hai