kahin par zindagi ka nam-e-nami mauj-masti hai
kahin par aadamiyat zinda rahne ko tarasti hai
jahan-e-zindagi ki qudrati taswir hain donon
kahin sukha paDa hai aur kahin barish barasti hai
teri daulat tujhe kya faiz pahunchaegi tere baad
mayassar zindagi jitni bhi qimat par ho sasti hai
kisi qabil mein hota to kabhi ka qatl ho jata
ki har ahl-e-salahiyyat ki dushman meri basti hai
mohabbat hi kiya karti hai aamada baghawat par
mohabbat hi wafadari ki zanjiron mein kasti hai
kama lena magar hargiz na karna pyar daulat se
ye nagin apne shaida ko nihattha kar ke Dasti hai
kabhi 'talib' yahan insaniyat ki qadr hoti thi
magar ab jis taraf bhi dekhta hun zar-parasti hai
Ghazal
Kahin par zindagi ka nam-e-nami mauj-masti hai
Ayaz Ahmad Talib