kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun
phir is be-rabt se KHake mein KHud se kaam rakhta hun
saliqe se main us ki guftugu ka lutf leta hun
aur us ke ru-ba-ru dil mein KHayal-e-KHam rakhta hun
ba-zahir madh se us ki kabhi thakta nahin lekin
darun-e-KHana-e-dil KHwahish-e-dushnam rakhta hun
KHush aai hai abhi to qaid-e-KHwahish is KHarabe mein
abhi KHud ko rahin-e-gardish-e-ayyam rakhta hun
safar ki subh mein ranj-e-safar ki dhul uDti hai
had-e-aghaz mein andesha-e-anjam rakhta hun
firaq o wasl se haT kar koi rishta hamara hai
ki us ko chhoD pata hun na us ko tham rakhta hun
dalil-e-KHwab-e-masti hai teri aamadgi imshab
magar is shab mein tujh se aur koi kaam rakhta hun
tajawuz se bhala kab tak guzar auqat mumkin thi
so apne KHun tak shor-e-dil-e-badnam rakhta hun
Ghazal
Kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun
Abrar Ahmad