kahin marne wale kaha mante hain
wahi kar guzarte hain jo Thante hain
koi khel hai jaan par khel jaana
wo ye kah ke akasr hamein tante hain
mila ye jawab aaj rashk-e-adu par
jo mane hamein us ko hum mante hain
taDap kar idhar ho gaya koi ThanDa
udhar aap daman hi gardante hain
kahen kya shab-e-hijr kaTti hai kyun-kar
jo dil par guzarti hai hum jaante hain
mere dil ki kuchh qadr hogi unhin ko
jo khoTa khara KHub pahchante hain
ye fiqre ye chaalen ye ghaten ye baaten
tujhe o daghabaz hum jaante hain
adu se bhi hai sulh manzur achchha
jo ab tak na mani thi ab mante hain
'hafiz' us ki jis par hui mehrbani
usi ko zamane mein sab mante hain
Ghazal
Kahin marne wale kaha mante hain
Hafeez Jaunpuri