kahin maghz us ke main subh-dam teri bu-e-zulf-e-rasa gai
tere kuche se jo chaman talak gul uDati KHak-e-saba gai
maraz ek jahan se nirala tha meri jaan tere mariz ka
na hua kisi se ilaj jab ajal us ki karne dawa gai
gharaz is nibah ke sadqe mein gharaz aisi chah ke sadqe mein
na tera hi jaur-o-jafa gaya na meri hi mehr-o-wafa gai
ye bahaar howegi sab KHizan na saman na lala na arghawan
dam-e-garm ki mere dostan kabhu bagh mein jo hawa gai
jo fida-e-surat-e-KHub hain unhen tab kahunga ki dekhiye
koi shakl apni hi chashm mein kabhu sair karti jo aa gai
main hua ba-KHak-e-siyah-faro tere kuche mein ba-sad-arzu
raha sharmgin hi hamesha tu teri ab talak na haya gai
sar uThaun kyunke main 'mushafi' nahin mujh mein tab-o-tawan zari
ki KHiram us but-e-shoKH ki mujhe KHak hi mein mila gai
Ghazal
Kahin maghz uske main subh-dam teri bu-e-zulf-e-rasa gai
Mushafi Ghulam Hamdani

