kahin log tanha kahin ghar akele
kahan tak main dekhun ye manzar akele
gali mein hawaon ki sargoshiyan hain
gharon mein magar sab sanobar akele
numaish hazaron nigahon ne dekhi
magar phul pahle se baDh kar akele
ab ek tir bhi ho liya sath warna
parinda chala tha safar par akele
jo dekho to ek lahar mein ja rahe hain
jo socho to sare shanawar akele
teri yaad ki barf-bari ka mausam
sulagta raha dil ke andar akele
irada tha ji lunga tujh se bichhaD kar
guzarta nahin ek december akele
zamane se 'qasir' KHafa to nahin hain
ki dekhe gae hain wo aksar akele
Ghazal
Kahin log tanha kahin ghar akele
Ghulam Mohammad Qasir