kahin kuchh aur bhi hai KHwahish-e-digar ke baad
na jaane kaun si manzil hai KHair-o-shar ke baad
teri gali mein mere dil ki qadr hai to sahi
magar hai gard-o-KHas-o-KHak-e-rahguzar ke baad
badal ke rahguzar manzil-e-digar ki taraf
isi safar pe chalenge hum is safar ke baad
ajib tarah ka ye be-niyaz mausam hai
shagufe nikle meri shaKH pe samar ke baad

Ghazal
Kahin kuchh aur bhi hai KHwahish-e-digar ke baad
Shafaq Sopori