kahin KHulus ki KHushbu mile to ruk jaun
mere liye koi aansu khile to ruk jaun
main us ke sae mein yun to Thahar nahin sakta
udas peD ka patta hile to ruk jaun
kabhi palak pe sitare kabhi labon pe gulab
agar na KHatm hon ye silsile to ruk jaun
wo ek rabt jo itna baDha ki TuT gaya
simaT ke joD de ye fasle to ruk jaun
bahut tawil andheron ka hai safar 'tahir'
kahin jo dhup ka saya mile to ruk jaun
Ghazal
Kahin KHulus ki KHushbu mile to ruk jaun
Tahir Faraz