kahin jangal kahin darbar se ja milta hai
silsila waqt ka talwar se ja milta hai
main jahan bhi hun magar shahr mein din Dhalte hi
mera saya teri diwar se ja milta hai
teri aawaz kahin raushni ban jati hai
tera lahja kahin mahkar se ja milta hai
chaudhwin-raat teri zulf mein Dhal jati hai
chaDhta suraj tere ruKHsar se ja milta hai
gard phir wusat-e-sahra mein simaT jati hai
rasta kucha o bazar se ja milta hai
'ram' har-chand kai log bichhaD jate hain
qafila qafila-salar se ja milta hai

Ghazal
Kahin jangal kahin darbar se ja milta hai
Ram Riyaz