اردو हिंदी
Kahin husn ka taqaza kahin waqt ke ishaare | Shaahi Shayari
kahin husn ka taqaza kahin waqt ke ishaare

Ghazal

Kahin husn ka taqaza kahin waqt ke ishaare

Shakeel Badayuni

;

kahin husn ka taqaza kahin waqt ke ishaare
na bacha sakenge daman gham-e-zindagi ke mare

shab-e-gham ki tirgi mein meri aah ke sharare
kabhi ban gae hain aansu kabhi ban gae hain tare

na KHalish rahi wo mujh mein na kashish rahi wo mujh mein
jise zoam-e-ashiqi ho wahi ab tujhe pukare

jinhen ho saka na hasil kabhi kaif-e-qurb-e-manzil
wahi do-qadam hain mujh ko teri justuju se pyare

main 'shakil' un ka ho kar bhi na pa saka hun un ko
meri tarah zindagi mein koi jit kar na haare