kahin ek masum nazuk si laDki mare zikr par jhenp jati to hogi 
haya-bar aankhon mein sapne sajae wo kuchh soch kar muskuraati to hogi 
mere sher paDh kar akele mein aksar inhen zer-e-lab gungunati to hogi 
mere nam phir kuchh wo likhne ki KHatir qalam be-irada uThati to hogi 
hasin chandni ho ya sawan ki rut ho kasak us ke dil mein jagati to hogi 
kisi ke tasawwur ko pahlu mein pa kar wo sharma ke KHud kasmasati to hogi 
mujhe pa ke bazm-e-tasawwur mein tanha wo palkon ki chilman giraati to hogi 
baDe pyar se phir bahut hi lagan se wo KHwabon ki duniya sajati to hogi 
wo masum tanha pareshan si laDki use yaad meri satati to hogi 
nigahon ke baadal baraste jo honge wo chhup-chhup ke aansu bahati to hogi 
kisi ki hasin shoKH aankhon mein yaro meri yaad mein jhilmilati to hogi 
saheli ko taswir meri dikha kar wo sharma ke KHud jhenp jati to hogi 
wo ban kar sanwar kar akele mein aksar 'shakil' ek qayamat jagati to hogi 
tasawwur mein mujh ko qarib apne pa kar wo shishe se nazren churaati to hogi
        Ghazal
Kahin ek masum nazuk si laDki mare zikr par jhenp jati to hogi
Syed Shakeel Desnavi

