kahin bhi zindagi apni guzar sakta tha
wo chahta to main danista haar sakta tha
zamin panw se mere lipaT gai warna
main aasman se tare utar sakta tha
jala rahi hain jise tez dhup ki nazren
wo abr bagh ki qismat sanwar sakta tha
ajib moajaza-kari thi us ki baaton mein
ki wo yaqin ke jazire ubhaar sakta tha
mere makan mein diwar hai na darwaza
mujhe to koi bhi ghar se pukar sakta tha
pur-itminan thin us ki rifaqaten 'balraj'
wo aaine mein mujhe bhi utar sakta tha
Ghazal
Kahin bhi zindagi apni guzar sakta tha
Balraj Bakshi