kahin bhi shahr mein kunj-e-aman nahin milta
ki aaj rabta-e-jism-o-jaan nahin milta
ye sochta hun kahan se ho ibtida, aaKHir
ki harf koi pas-e-dastan nahin milta
samay ki lahr mein gharqab ho raha hun main
kahin pe naw kahin baadban nahin milta
tamam umr ki la-hasili azab hui
wo mil gaya hai to apna nishan nahin milta
bata rahi hai bagulon ki ham-rahi mujh ko
pas-e-ghubar koi karwan nahin milta
mere KHilaf shahadat hai mo'tabar sab ki
magar kisi se kisi ka bayan nahin milta
ye kaisi saaten sar par hain aaj-kal 'athar'
zamin mili hai to ab aasman nahin milta
Ghazal
Kahin bhi shahr mein kunj-e-aman nahin milta
Mumtaz Athar