اردو हिंदी
Kahin bhi saya nahin kis taraf chale koi | Shaahi Shayari
kahin bhi saya nahin kis taraf chale koi

Ghazal

Kahin bhi saya nahin kis taraf chale koi

Shahzad Ahmad

;

kahin bhi saya nahin kis taraf chale koi
daraKHt kaT gaya hai hare-bhare koi

ajib rut hai zaban zaiqe se hai mahrum
tamam shahr hi chup ho to kya kare koi

hamare shahr mein hai wo gurez ka aalam
charag bhi na jalae charag se koi

ye zindagi hai safar munjamid samundar ka
wahin pe shaq ho zamin jis jagah ruke koi

palaT kar aa nahin sakte gae hue lamhe
tamam umr bhi ab jagta rahe koi

misal-e-aks muqayyad hisar-e-zat mein hun
wo mauj hun jise rasta na mil sake koi

phir is ke baad bikhar jaun ret ki surat
bas ek bar mujhe TuT kar mile koi

huzur-e-husn ye dil kasa-e-gadai hai
hun wo faqir jise bhik bhi na de koi

sawal us ne bhi koi nahin kiya 'shahzad'
jawab ban na paDe jis ke samne koi