kahin bhi maqam-e-sada-e-lab nahin aa saka
main teri sada-e-nigah pe kab nahin aa saka
tere hijr tere visal apne KHayal mein
kisi aaine mein main sab ka sab nahin aa saka
tere qurb mein mujhe maut yaad nahin rahi
wo sahar hui ki KHayal-e-shab nahin aa saka
jo tamam umr raha sabab ki talash mein
wo teri nigah mein be-sabab nahin aa saka
hui aise saya-e-rang mein meri tarbiyat
kabhi koi waswasa-e-tarab nahin aa saka
ye meri mata-e-giran hawa mein bikhar gai
mujhe apne soz-e-nihan ka Dhab nahin aa saka
Ghazal
Kahin bhi maqam-e-sada-e-lab nahin aa saka
Khursheed Rizvi