kahin akele mein mil kar jhinjhoD dunga use
jahan jahan se wo TuTa hai joD dunga use
mujhe wo chhoD gaya ye kamal hai us ka
irada main ne kiya tha ki chhoD dunga use
badan chura ke wo chalta hai mujh se shisha-badan
use ye Dar hai ki main toD phoD dunga use
pasine banTta phirta hai har taraf suraj
kabhi jo hath laga to nichoD dunga use
maza chakha ke hi mana hun main bhi duniya ko
samajh rahi thi ki aise hi chhoD dunga use
Ghazal
Kahin akele mein mil kar jhinjhoD dunga use
Rahat Indori