kahin aisa na ho daman jala lo
hamare aansuon par KHak Dalo
manana hi zaruri hai to phir tum
hamein sab se KHafa ho kar mana lo
bahut roi hui lagti hain aankhen
meri KHatir zara kajal laga lo
akele-pan se KHauf aata hai mujh ko
kahan ho ai mere KHwabo KHayalo
bahut mayus baiTha hun main tum se
kabhi aa kar mujhe hairat mein Dalo
Ghazal
Kahin aisa na ho daman jala lo
Liyaqat Ali Aasim