kahen kya ki kya kya sitam dekhte hain
likha hai jo qismat mein hum dekhte hain
kabhi aah nara kabhi khinchte hain
hum is saz ka zer-o-bam dekhte hain
KHat-e-sar-nawisht apna hum paDh rahe hain
tumhaara jo naqsh-e-qadam dekhte hain
mere ru-ba-ru wo baham ghair se hain
na dekhe koi jo ki hum dekhte hain
rahi gar talash-e-kamar yun hi hum ko
koi dam mein mulk-e-adam dekhte hain
hazaron guman dil mein hote hain paida
tere hath mein jab qalam dekhte hain
nahin jaana kis din tu ghairon ke ghar par
sarihan to aankhon se hum dekhte hain
nahin aarzu kuchh bhi bose ki hum ko
magar hum tumhaara karam dekhte hain
jo aalam ki dekha hai ku-e-butan mein
KHuda ki KHudai mein kam dekhte hain
nazar aate ho 'sehr' aashiq kisi par
tumhein har ghaDi chashm-e-nam dekhte hain
Ghazal
Kahen kya ki kya kya sitam dekhte hain
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni