اردو हिंदी
Kahaniyan bhi gain qissa-KHwaniyan bhi gain | Shaahi Shayari
kahaniyan bhi gain qissa-KHwaniyan bhi gain

Ghazal

Kahaniyan bhi gain qissa-KHwaniyan bhi gain

Kishwar Naheed

;

kahaniyan bhi gain qissa-KHwaniyan bhi gain
wafa ke bab ki sab be-zabaniyan bhi gain

wo bazyabi-e-gham ki sabil bhi na rahi
luTa yun dil ki sabhi be-sabaatiyan bhi gain

hawa chali to hare patte sukh kar TuTe
jo subh aai to hira-numaiyan bhi gain

wo mera chehra mujhe aaine mein apna lage
isi talab mein badan ki nishaniyan bhi gain

palaT palaT ke tumhein dekha par mile bhi nahin
wo ahd-e-zabt bhi TuTa shitabiyan bhi gain

mujhe to aankh jhapakna bhi tha giran lekin
dil o nazar ki tasawwur-shiariyan bhi gain