kahani meri barbaadi ki jis ne bhi suni hogi
nazar mein us ke ek taswir-e-hairat khinch gai hogi
sata lo jis qadar chaho adaon se jafaon se
qasam khata hun gar hogi tumhin se dosti hogi
wafa ko bhi meri hamdam jafa hi jo samajhte hain
mujhe malum hai ek din unhen sharmindagi hogi
are nadan tujh ko kash ye malum ho jata
ki teri dushmani hi meri wajh-e-dosti hogi
bahaaron mein junun ne de diya mujh ko yaqin itna
meri dasht-e-junun mein bhi tumhaari rahbari hogi
shikan bistar ke kahte hain mariz-e-hijr ko hamdam
taDapne ki thakan se nind aaKHir aa gai hogi
are 'shadan' mohabbat ke nirale taur hote hain
jise tum husn kahte ho wo wajh-e-be-KHudi hogi
Ghazal
Kahani meri barbaadi ki jis ne bhi suni hogi
Shanti Lal Malhotra