اردو हिंदी
Kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai | Shaahi Shayari
kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai

Ghazal

Kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai

Fayyaz Farooqi

;

kahani ho koi bhi tera qissa ho hi jati hai
koi taswir dekhun tera chehra ho hi jati hai

teri yaadon ki lahren gher leti hain ye dil mera
zamin ghir kar samundar mein jazira ho hi jati hai

gai shab chand jaisa jab chamakta hai KHayal us ka
tamanna meri ek chhoTa sa bachcha ho hi jati hai

saja hai taj mere sar pe lekin ye nazar meri
jo us ki samt jati hai to kasa ho hi jati hai

jatan karta hun kitne rok lun sailab aankhon mein
magar tamir meri ye shikasta ho hi jati hai

ye socha hai ki tujh ko sochna ab chhoD dunga main
ye laghzish mujh se lekin be-irada ho hi jati hai

jo hai 'fayyaz' us ko dekh kar mabhut hairat kya
taDapti hai jo bijli aankh KHira ho hi jati hai