kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein
agar manzur hai rakh lo mujhe jhuTe gawahon mein
muwahhid wo hun gar main sirr-e-wahdat kan mein kah dun
muazzin but-kade mein hon barahman KHanqahon mein
nazar mujh se chura kar munh chhupa kar kahte jate hain
ki ye chori bhi likkhi jaegi tere gunahon mein
siyahkari meri ban jae rashk-e-gesu-e-KHuban
qayamat ko chhupa baiTha rahun yarab gunahon mein
wahi 'rasiKH' to hain kal tak jo maiKHane ke darban the
bane baiThe hain hazrat chaar din se din-panahon mein
Ghazal
Kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein
Abdul Rahman Rasikh