kahan tewar hain un mein ab wo kal ke
hawa chalne lagi hai ruKH badal ke
judai ki ghaDi hai dushman-e-dil
bala hai ye nahin Talti hai Tal ke
ada un ki maza deti hai hum ko
maza aata hai un ko dil masal ke
paheli ban ke wo ojhal hua hai
kiye hain band dar sab us ne jal ke
wafa ke phul tab samjho khilenge
jo aaega koi kanTon pe chal ke
wo kar dete hain na-mumkin ko mumkin
meri aaghosh mein akasr machal ke
nazar ke tir nazuk hain tumhaare
jabhi pur-lutf hain ye war halke
'suhail' is dil ki haalat aur mohabbat
baha aankhon se wo patthar pighal ke
Ghazal
Kahan tewar hain un mein ab wo kal ke
Suhail Kakorvi