kahan talak teri yaadon se taKHliya kar len
hum apne aap ko bhule hain aur kya kar len
na ashk aankh mein aae na aankh bah nikle
to kyun na jaanib-e-pahlu hi aaj wa kar len
hazar rang qabaon pe Dal rakkhe hain
ajib KHabt hai daman ko parsa kar len
baDe ghurur se ki hai zamir ne tauba
jo tu mile kabhi tanha to phir KHata kar len
mere liye to ye duniya sarab jaisi hai
ab is pe KHak na Dalen to aur kya kar len
na dil rahe na mohabbat rahe na dard rahe
chalo akele mein mil kar ye faisla kar len
unhin ka nam hai dil ki har ek dhaDkan par
wo chahte hain ki sansen bhi ab bata kar len
Ghazal
Kahan talak teri yaadon se taKHliya kar len
Siraj Alam Zakhmi