kahan talak kahun saqi ki la sharab to de
na de sharab Dubo kar koi kabab to de
bujhega soz-e-dil ai girya pal mein aab to de
digar hai aag mein duniya yun hi azab to de
guzarne gar ye mere sar se itna aab to de
ki sar pe charKH bhi dikhlai jun habab to de
hazaron tishna jigar kis se hoenge sairab
KHuda ke waste tegh-e-sitam ko aab to de
tumhaare matla-e-abru pe ye kahe hai KHal
ki aisa nuqta koi waqt-e-intiKHab to de
dar-e-qubul hai darban na band kar dar-e-yar
dua-e-KHair meri hone mustajab to de
khule hai naz se gulshan mein ghuncha-e-nargis
zara dikha to use chashm-e-nim-KHwab to de
bala se aap na aaen pe aadmi un ka
tasalli aa ke mujhe waqt-e-iztirab to de
hua bagule mein hai kushtagan-e-zulf ki KHak
ki baad-e-marg bhi malum pech-o-tab to de
bala se kam na ho girye se mera soz-e-jigar
bujha par un ki zara aatash-e-itab to de
shahid kijiyo qatil abhi na kar jaldi
Thaharne mujh ko tah-e-tegh-e-iztirab to de
shikar-e-basta-e-fitrak ko tere maqdur
hua na ye bhi ki bosa sar-e-rikab to de
dil-e-birishta ko mere na chhoDo mai-KHwaro
jo lazzat us mein hai aisa maza kabab to de
nashe mein hosh kise jo gine hisab kare
jo tujh ko dena hain bose bila hisab to de
jawab-e-nama nahin gar to rakh do nama-e-yar
jo puchhen qabr mein aashiq se kuchh jawab to de
rakhe hai hausla dariya kab ahl-e-himmat ka
nahin ye itna ki bhar kasa-e-habab to de
kahan bujhi hai tah-e-KHak meri aatish-e-dil
kaho hawa se hila daman-e-sahab to de
KHunuk dilon ki agar aah-e-sard dozaKH mein
paDe to waqai ek bar aag dab to de
karega qatl wo ai 'zauq' tujh ko surme se
nigah ki tegh ko hone siyah-tab to de
pahunch rahunga sar-e-manzil-e-fana ai 'zauq'
misal-e-naqsh-e-qadam karne pa-turab to de
Ghazal
Kahan talak kahun saqi ki la sharab to de
Sheikh Ibrahim Zauq