kahan talash karun ab ufuq kahani ka
nazar ke samne manzar hai be-karani ka
nadi ke donon taraf sari kashtiyan gum thin
bahut hi tez tha ab ke nasha rawani ka
main kyun na Dubte manzar ke sath Dub hi jaun
ye sham aur samundar udas pani ka
parinde pahli uDanon ke baad lauT aae
lapak uTha koi ehsas raegani ka
main Dar raha hun hawa mein kahin bikhar hi jae
ye phul phul sa lamha teri nishani ka
wo hanste khelte ek lafz kah gaya 'bani'
magar mere liye daftar khula maani ka
Ghazal
Kahan talash karun ab ufuq kahani ka
Rajinder Manchanda Bani