kahan tak jafa husn walon ki sahte
jawani jo rahti to phir hum na rahte
lahu tha tamanna ka aansu nahin the
bahae na jate to hargiz na bahte
wafa bhi na hota to achchha tha wada
ghaDi do ghaDi to kabhi shad rahte
hujum-e-tamanna se ghuTte the dil mein
jo main rokta bhi to nale na rahte
main jagunga kab tak wo soen ge ta-kai
kabhi chiKH uTThunga gham sahte sahte
batate hain aansu ki ab dil nahin hai
jo pani na hota to dariya na bahte
zamana baDe shauq se sun raha tha
hamin so gae dastan kahte kahte
koi naqsh aur koi diwar samjha
zamana hua mujh ko chup rahte rahte
meri naw is gham ke dariya mein 'saqib'
kinare pe aa hi lagi bahte bahte
Ghazal
Kahan tak jafa husn walon ki sahte
Saqib Lakhnavi