اردو हिंदी
Kahan tak baDh gai hai baat likhna | Shaahi Shayari
kahan tak baDh gai hai baat likhna

Ghazal

Kahan tak baDh gai hai baat likhna

Kanval Ziai

;

kahan tak baDh gai hai baat likhna
mere ganw ke sab haalat likhna

jawan beTon ki lashon ke alawa
mili hai kaun si saughat likhna

koi sota hai ya sab jagte hain
wahan kaTti hai kaise raat likhna

lahu dharti mein kitna bo chuke ho
nai faslon ki bhi auqat likhna

kahan jalta raha dharti ka sina
kahan hoti rahi barsat likhna

hamari sar-zamin kis rang mein hai
wahan bahte lahu ki zat likhna

main chhup kar ghar mein aana chahta hun
lagi hai kis gali mein ghat likhna