kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana
bas ab hum se nahin hota mukarte hi chale jaana
main ab to shahr mein is baat se pahchana jata hun
tumhaara zikr karna aur karte hi chale jaana
yahan aansu hi aansu hain kahan tak ashk ponchhoge
tum us basti se guzro to guzarte hi chale jaana
meri KHatir se ye ek zaKHm jo miTTi ne khaya hai
zara kuchh aur Thahro is ke bharte hi chale jaana
wafa-na-ashna logon se milna bhi aziyyat hai
hue aise to is dil se utarte hi chale jaana
Ghazal
Kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana
Anjum Khaleeq