kahan socha tha main ne bazm-arai se pahle
ye meri aaKHiri mahfil hai tanhai se pahle
bas ek sailab tha lafzon ka jo rukta nahin tha
ye halchal sath pe rahti hai gahrai se pahle
bahut din hosh-mandon ke kahe ka man rakkha
magar ab mashwara karta hun saudai se pahle
faqat rangon ke is jhurmuT ko main sach man lun kya
wo sab kuchh jhuT tha dekha jo binai se pahle
kisi bhi jhuT ko jina bahut mushkil nahin hai
faqat dil ko hara karna hai sachchai se pahle
ye aankhen bhiD mein ab tak usi ko DhunDti hain
jo saya tha yahan pahle tamashai se pahle
Ghazal
Kahan socha tha maine bazm-arai se pahle
Shariq Kaifi