اردو हिंदी
Kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein | Shaahi Shayari
kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein

Ghazal

Kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein

Akhtar Shahjahanpuri

;

kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein
bahut kuchh ro chuke hum to adakari ke mausam mein

utar aaunga main bhi zina-e-hasti se yun ek din
ki jaise rang-e-ruKH utre hai nadari ke mausam mein

tumhaare KHat kabhi paDhna kabhi tartib se rakhna
ajab mashghuliyat rahti hai bekari ke mausam mein

ba-juz mere zamane ki qaba rangin kar Dali
ye kya tafriq rakkhi us ne gul-kari ke mausam mein

sar-e-barg-e-tamanna marham-e-didar kah jaen
na aaen samne mere nigah-dari ke mausam mein

tulu-e-mehr se TuTegi un ki nind na-mumkin
jo KHwabida raha karte hain bedari ke mausam mein

taras khate hain kyun ahbab mere haal par 'aKHtar'
bahut be-chainiyan baDhti hain gham-KHwari ke mausam mein