kahan se DhunDh ke laun purane KHwab aankhon mein
koi manzar nahin tikTa meri sairab aankhon mein
na ninden thin na aansu the na KHushiyan thin magar tu tha
ki ab tu bhi nahin aata hai in be-KHwab aankhon mein
kisi bhi aaine mein ab mera chehra nahin dikhta
mera chehra nikalta hai inhin betab aankhon mein
jise tamir ka Dar hai chala jae wo bin bole
jo hain tayyar sach ko wo rahenge KHwab aankhon mein
dafa kar ishq ka charcha kahin tu bhi na bah jae
abhi to bandh ke rakkhen hain sab sailab aankhon mein
Ghazal
Kahan se DhunDh ke laun purane KHwab aankhon mein
Sawan Shukla