kahan se aana hai har aadmi yahan tanha
rula ke hum ko chala jaana hai kahan tanha
yazid-e-asr ne ghera hai yun mujhe jaise
muqable mein ho ek tere be-kaman tanha
lage hain KHeme wahin aaj karwanon ke
gaya tha shahr mein thak kar jahan jahan tanha
ye kaun rahta hai sae ki tarah sath mere
rah-e-talab mein to main hun rawan-dawan tanha
jo dekhiye mere hamdam hain mere sath magar
uTha raha hun main bar-e-gham-e-jahan tanha
suno jo kahte hain sargoshiyon mein shahr ke log
amir-e-shahr se kab main hun bad-guman tanha
bujhao jald tumhaari bhi warna KHair nahin
kabhi jala hai chaman mein ek aashiyan tanha
KHalish kisi ka sahaara bane koi kyun kar
yahan har ek ka hona hai imtihan tanha
Ghazal
Kahan se aana hai har aadmi yahan tanha
Khalish Kalkatvi