kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui
na ham-nafas na ham-zaban ye sham bhi kahan hui
bujhi nazar bujhe qadam na rahbar na ham-safar
na rahguzar na karwan ye sham bhi kahan hui
na sham-e-dil na shama-e-ruKH nujum-e-shab na mah-e-shab
nigah-o-dil dhuan dhuan ye sham bhi kahan hui
na gesuon ki chhanw hai na aarizon ki chandni
na mang ki wo kahkashan ye sham bhi kahan hui
hayat-e-gham ke bojh se dabi dabi thaki thaki
luTi luTi si bazm-e-jaan ye sham bhi kahan hui
lagi hai jaise aag si chita mein jal raha hun main
pighal rahe hain jism-o-jaan ye sham bhi kahan hui
'payam' us maqam par hai aaj dil ka karwan
jahan zamin na aasman ye sham bhi kahan hui
Ghazal
Kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui
Payam Fatehpuri