اردو हिंदी
Kahan sadma nahin hote kahan matam nahin hota | Shaahi Shayari
kahan sadma nahin hote kahan matam nahin hota

Ghazal

Kahan sadma nahin hote kahan matam nahin hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

;

kahan sadma nahin hote kahan matam nahin hota
koi aisa bhi hai duniya mein jis ko gham nahin hota

masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota
karam hota to hai un ka magar paiham nahin hota

KHushi ka gham jinhen hota hai samjho gham-nasib un ko
jinhen gham ki KHushi hoti hai un ko gham nahin hota

na le jata jo majnun aalam-e-diwangi hum se
to us ka zikr-e-KHair afsana-e-alam nahin hota

kahan hai tu burai se burai miT nahin sakti
are ghafil andhere se andhera kam nahin hota

yahi wo waqt hai jab aadmi ko hosh aata hai
KHuda ki yaad se ghafil Dil-e-pur-gham nahin hota

bura jab waqt aata hai to is duniya-e-ulfat mein
koi monis nahin hota koi hamdam nahin hota

tasalli se kabhi taskin-e-KHatir ho nahin sakti
junun-e-shauq baDh jata hai is se kam nahin hota

faza-e-bagh-e-hasti mein KHizan bhi hai bahaaren bhi
kahan KHushiyan nahin hotin kahan matam nahin hota

nibah aasan nahin duniya ki rasm-e-dost-dari ka
koi dam-saz hota hai to hum mein dam nahin hota

fana ke baad milta hai sukun-e-rahat-e-manzil
jahan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hota

koi milta hai jab rah-e-talab mein rahbar-e-kaamil
to hum ko duri-e-manzil ka bhi kuchh gham nahin hota

hamare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai
mohabbat mein kabhi aisa to ai hamdam nahin hota

tumhin imdad ko 'KHushtar' ki aa jate ho mushkil mein
sahaara jab koi ai sarwar-e-alam nahin hota