اردو हिंदी
Kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun | Shaahi Shayari
kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun

Ghazal

Kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun

Ejaz Warsi

;

kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun
wo KHush-nasib hai mil jae jis ko soz-e-darun

KHud aap dekh len kya haal dil zaban se kahun
abhi to hain meri aankhon mein chand qatra-e-KHun

ye shahr-e-ham-nafasan kitni bar ujDa hai
kabhi na ho saka lekin sar-e-hayat nigun

abhi to maslahat-e-waqt hi pe nazan hai
abhi KHirad ko mayassar kahan maqam-e-junun

nigah nichi kiye munfail se baiThe hain
ab un se shikwa-e-bedad kis zaban se karun

nikhaar aa hi gaya KHushk KHushk chehron par
mila to girya-e-shabnam se kuchh gulon ko sukun

dar-asl hai meri hasti ki kaenat 'ejaz'
wo ek nigah jise zindagi ka raaz kahun