kahan rukenge musafir nae zamanon ke
badal raha hai junun zawiye uDanon ke
ye dil ka zaKHm hai ek roz bhar hi jaega
shigaf pur nahin hote faqat chaTanon ke
chhalak chhalak ke baDha meri samt nind ka jam
pighal pighal ke gire qufl qaid-KHanon ke
hawa ke dasht mein tanhai ka guzar hi nahin
mere rafiq hain mutrib gae zamanon ke
kabhi hamare nuqush-e-qadam ko tarsenge
wahi jo aaj sitare hain aasmanon ke
Ghazal
Kahan rukenge musafir nae zamanon ke
Shakeb Jalali