اردو हिंदी
Kahan qatre ki gham-KHwari kare hai | Shaahi Shayari
kahan qatre ki gham-KHwari kare hai

Ghazal

Kahan qatre ki gham-KHwari kare hai

Waseem Barelvi

;

kahan qatre ki gham-KHwari kare hai
samundar hai adakari kare hai

koi mane na mane us ki marzi
magar wo hukm to jari kare hai

nahin lamha bhi jis ki dastaras mein
wahi sadiyon ki tayyari kare hai

baDe aadarsh hain baaton mein lekin
wo sare kaam bazari kare hai

hamari baat bhi aae to jaanen
wo baaten to bahut sari kare hai

yahi aKHbar ki surKHi banega
zara sa kaam chingari kare hai

bulawa aaega chal denge hum bhi
safar ki kaun tayyari kare hai