kahan pe bichhDe the hum log kuchh pata mil jae
tumhaari tarah agar koi dusra mil jae
hazaron naqsh nihan honge us ke sine mein
kabhi kabhi to ye aaina bolta mil jae
jilau mein le ke chalen sare na-tamam se KHwab
na jaane kis jagah umr-e-gurez-pa mil jae
na jaane kya kare imroz ka ye sannaTa
hamare mazi ka ek lamha chiKHta mil jae
shikast-o-reKHt ki duniya mein hun to KHwahish hai
KHayal bikhra hua jism TuTta mil jae
main nazr kar dun use ye lahuluhan badan
fareb-KHurda aqidat ka qafila mil jae
agarche hadd-e-nazar tak dhuan dhuan hai faza
isi dayar mein mumkin hai phir 'saba' mil jae
Ghazal
Kahan pe bichhDe the hum log kuchh pata mil jae
Saba Jayasi