kahan nasib zamurrad ko surKH-rui ye
samajh mein lal ki ab tak hina nahin aai
KHajil hai aankhon se nargis gulab galon se
wo kaun phul hai jis ko haya nahin aai
umaD raha hai paDa dil mein shauq zulfon ka
ye jhum jhum ke kali ghaTa nahin aai
ho jis se aage wo but hum se ham-suKHan waiz
kahin hadis mein aisi dua nahin aai
zaban pe us ki hai har dam meri bala aae
bala bhi aae to samjho bala nahin aai
shab-e-firaq ka chhaya hua hai rob aisa
bula bula ke thake hum qaza nahin aai
nazar hai yar ki 'shahbaz' kimiya-tasir
par apne hisse mein ye kimiya nahin aai
Ghazal
Kahan nasib zamurrad ko surKH-rui ye
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz