kahan main jaun gham-e-ishq-e-raegan le kar
ye apne ranj ye apni udasiyan le kar
jala hai dil ya koi ghar ye dekhna logo
hawaen phirti hain chaaron taraf dhuan le kar
bas ek hamara lahu sarf-e-qatl-gah hua
khaDe hue the bahut apne jism o jaan le kar
nae gharon mein na rauzan the aur na mehraben
parinde lauT gae apne aashiyan le kar
samundaron ke safar jin ke nam likkhe the
utar gae wo kinaron pe kashtiyan le kar
talash karte hain nau-saKHta makanon mein
hum apne ghar ko purani nishaniyan le kar
unhen bhi sahne paDe the azab mausam ke
chale the apne saron par jo saeban le kar
hawa mein hilte hue hath puchhte hain 'zubair'
tum ab gae to kab aaoge chhuTTiyan le kar
Ghazal
Kahan main jaun gham-e-ishq-e-raegan le kar
Zubair Rizvi