kahan mahfil mein mujh tak baada-e-gulfam aata hai
jo mera nam aata hai to KHali jam aata hai
na aao tum to phir kyun hichkiyon par hichkiyan aaen
inhen roko ye kyun paigham par paigham aata hai
ye sawan ye ghaTa ye bijliyan ye TuTti raaten
bhala aise mein dil walon ko kab aaram aata hai
adab ai jazba-e-bebak ye aah-o-fughan kaisi
ki aisi zindagi se maut par ilzam aata hai
madad ai marg-e-nakaami naqahat ka ye aalam hai
baDi mushkil se honTon tak kisi ka nam aata hai
KHuda rakkhe tujhe ai sar-zamin-e-shahr-e-KHamoshan
yahin aa kar har ek bechain ko aaram aata hai
maaz-allah meri aankhon ka izhaar-e-tang-zarfi
Tapak paDte hain aansu jab tumhaara nam aata hai
zamane mein nahin dil-dada-e-mehr-o-wafa koi
tujhe dhoka hai ai dil kaun kis ke kaam aata hai
Ghazal
Kahan mahfil mein mujh tak baada-e-gulfam aata hai
Ehsan Danish