kahan kisi ki himayat mein mara jaunga
main gham-shanas murawwat mein mara jaunga
main mara jaunga pahle kisi fasane mein
phir is ke baad haqiqat mein mara jaunga
mera ye KHun mere dushmanon ke sar hoga
main doston ki hirasat mein mara jaunga
main chup raha to mujhe mar dega mera zamir
gawahi di to adalat mein mara jaunga
hisas mein banT rahe hain mujhe mere ahbab
main karobar-e-shirakat mein mara jaunga
bas ek sulh ki surat mein jaan-baKHshi hai
kisi bhi dusri surat mein mara jaunga
nahin marunga kisi jang mein ye soch liya
main ab ki bar mohabbat mein mara jaunga

Ghazal
Kahan kisi ki himayat mein mara jaunga
Rana Saeed Doshi