اردو हिंदी
Kahan kisi ka banaya hua banate hain | Shaahi Shayari
kahan kisi ka banaya hua banate hain

Ghazal

Kahan kisi ka banaya hua banate hain

Khurshid Talab

;

kahan kisi ka banaya hua banate hain
naya banate hain jab hum naya banate hain

kisi ka naqsh banate hain lauh-e-dil par hum
kisi ka aks sar-e-aina banate hain

naya banane ki hasrat kabhi nahin marti
nae sire se nae ko naya banate hain

main ek zamin hun amn-o-aman ki mutlashi
mere aziz mujhe karbala banate hain

hamari dasht-nawardi ko gumrahi na samajh
bhaTakne wale naya rasta banate hain

kahin bhi jaen kisi shahr mein sukunat ho
hum apni tarz ki aab o hawa banate hain

zaminen tang hui ja rahi hain dil ki tarah
hum ab makan nahin maqbara banate hain

talab jo log qanaat-pasand hote hain
wo zindagi ko kahan masala banate hain