kahan kahan teri rangini-e-shabab nahin
mera mazaq-e-nazar phir bhi kaamyab nahin
kisi nazar mein tumhein dekhne ki tab nahin
naqab-e-ruKH bhi ulaT do to be-naqab nahin
wo sun ke arz-e-tamanna ko ho gae KHamosh
mere sawal ka shayad koi jawab nahin
kuchh aur mast nigahon se dekh ai saqi
ba-qadr-e-zarf abhi nashsha-e-sharab nahin
baDe-baDon ke qadam Dagmaga gae hain yahan
ye imtihan ka ek daur hai shabab nahin
KHamosh baiThe hain jo pi chuke hain KHum ke KHum
bahak rahe hain jo aaluda-e-sharab nahin
tumhaari hasrat-e-didar barqarar rahe
hazar sal bhi guzrin to kuchh hisab nahin
lagi hui hain tumhaari taraf meri aankhen
meri nazar mein zamane ka inqalab nahin
khuli hui tere aane ke intizar mein hain
KHusha-nasib wo aankhen jo mahw-e-KHwab nahin
main apne dost se kya mujtanib hun ai 'shankar'
mujhe to apne adu se bhi ijtinab nahin

Ghazal
Kahan kahan teri rangini-e-shabab nahin
Shankar Lal Shankar